ik puraani sharaab jaisa ishq
mujh se khaana-kharaab jaisa ishq
meer ki ek ghazal sa dil-afroz
ik muqaddas kitaab jaisa ishq
hai gunah bhi yahi ibadat bhi
aqibat ke hisaab jaisa ishq
kabhi sehra kabhi samundar hai
kabhi ganga ke aab jaisa ishq
sau duaon ka mustaqil ehsaas
bandagi ke savaab jaisa ishq
aab-e-zam-zam hai is ko pee lijye
hai muqaddas sharaab jaisa ishq
mukhtasar bahar ki hai meri ghazal
is ghazal ke jawaab jaisa ishq
kisi ma'shooq ke badan ki mahak
ek taaza gulaab jaisa ishq
इक पुरानी शराब जैसा इश्क़
मुझ से ख़ाना-ख़राब जैसा इश्क़
'मीर' की एक ग़ज़ल सा दिल-अफ़रोज़
इक मुक़द्दस किताब जैसा इश्क़
है गुनह भी यही इबादत भी
आक़िबत के हिसाब जैसा इश्क़
कभी सहरा कभी समुंदर है
कभी गंगा के आब जैसा इश्क़
सौ दुआओं का मुस्तक़िल एहसास
बंदगी के सवाब जैसा इश्क़
आब-ए-ज़म-ज़म है इस को पी लीजे
है मुक़द्दस शराब जैसा इश्क़
मुख़्तसर बहर की है मेरी ग़ज़ल
इस ग़ज़ल के जवाब जैसा इश्क़
किसी मा'शूक़ के बदन की महक
एक ताज़ा गुलाब जैसा इश्क़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jagdish Prakash
our suggestion based on Jagdish Prakash
As you were reading Ishq Shayari Shayari