jaah-o-hashmat nahin jalaal nahin
phir bhi chhede koi majaal nahin
izzat-e-nafs sab ko pyaari hai
fard ya qaum ka sawaal nahin
haan vo behad haseen sahi lekin
bazm-e-aalam mein be-misaal nahin
kaise shikwe gile ki muddat se
hijr hi hijr hai visaal nahin
meri hasti vujood rakhti hai
main kisi zehan ka khayal nahin
apne maazi pe sirf naaz kare
itna guzra hua bhi haal nahin
apne fan ke dikhaiye jauhar
sher kehna koi kamaal nahin
जाह-ओ-हशमत नहीं जलाल नहीं
फिर भी छेड़े कोई मजाल नहीं
इज़्ज़त-ए-नफ़्स सब को प्यारी है
फ़र्द या क़ौम का सवाल नहीं
हाँ वो बेहद हसीं सही लेकिन
बज़्म-ए-आलम में बे-मिसाल नहीं
कैसे शिकवे गिले कि मुद्दत से
हिज्र ही हिज्र है विसाल नहीं
मेरी हस्ती वजूद रखती है
मैं किसी ज़ेहन का ख़याल नहीं
अपने माज़ी पे सिर्फ़ नाज़ करे
इतना गुज़रा हुआ भी हाल नहीं
अपने फ़न के दिखाइए 'जौहर'
शेर कहना कोई कमाल नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahangeer Khan Jauhar
our suggestion based on Jahangeer Khan Jauhar
As you were reading Taareef Shayari Shayari