muddat ke b'ad munh se lagi hai jo chhoot kar | मुद्दत के ब'अद मुँह से लगी है जो छूट कर

  - Jalal Lakhnavi

muddat ke b'ad munh se lagi hai jo chhoot kar
to ye bhi may pe girti hai kya toot toot kar

mehndi tha mera khoon ki hota jo raayegaan
ik shab ke b'ad haath se qaateel ke chhoot kar

pehla hi din tha ham ko kiye tark-e-may-kashi
kya kya pada hai raat ko meh toot toot kar

sabr o qaraar le ke diya daagh-e-aarzoo
aabaad tum ne dil ko kiya mujh ko loot kar

hairat hai mere akhtar-e-bakht-e-siyaah ko
kyun kar gahan se chaand nikalta hai chhoot kar

allaah-re aansuon ka khatkna firaq mein
aankhon mein bhar gaya koi almas koot kar

tapke nahin qalam ke faqat ashk naama par
vo kuchh likha ki roee siyaahi bhi phoot kar

kar band-o-bast abhi se na gulshan mein baagbaan
vo din to ho ki murgh-e-qafas aayein chhoot kar

sad-haif sar-guzisht jo apni kahi jalaal
tu is ko daastaan samajh sach ko jhooth kar

मुद्दत के ब'अद मुँह से लगी है जो छूट कर
तो ये भी मय पे गिरती है क्या टूट टूट कर

मेहंदी था मेरा ख़ून कि होता जो राएगाँ
इक शब के ब'अद हाथ से क़ातिल के छूट कर

पहला ही दिन था हम को किए तर्क-ए-मय-कशी
क्या क्या पड़ा है रात को मेंह टूट टूट कर

सब्र ओ क़रार ले के दिया दाग़-ए-आरज़ू
आबाद तुम ने दिल को किया मुझ को लूट कर

हैरत है मेरे अख़्तर-ए-बख़्त-ए-सियाह को
क्यूँ कर गहन से चाँद निकलता है छूट कर

अल्लाह-रे आँसुओं का खटकना फ़िराक़ में
आँखों में भर गया कोई अल्मास कूट कर

टपके नहीं क़लम के फ़क़त अश्क नामा पर
वो कुछ लिखा कि रोई सियाही भी फूट कर

कर बंद-ओ-बस्त अभी से न गुलशन में बाग़बाँ
वो दिन तो हो कि मुर्ग़-ए-क़फ़स आएँ छूट कर

सद-हैफ़ सर-गुज़िश्त जो अपनी कही 'जलाल'
तू इस को दास्तान समझ सच को झूट कर

  - Jalal Lakhnavi

Judai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Judai Shayari Shayari