jafaa ki us se shikaayat zara nahin aati | जफ़ा की उस से शिकायत ज़रा नहीं आती

  - Jalal Lakhnavi

jafaa ki us se shikaayat zara nahin aati
vo yaad hi hamein shukr-e-khuda nahin aati

nikal ke ta-b-lab aah-e-rasa nahin aati
karaahta hai jo ab dil sada nahin aati

hamaari khaak ki mitti hai kya kharab ai charkh
kabhi idhar ko udhar ki hawa nahin aati

shab-e-visaal kahaan khwaab-e-naaz ka mauqa
tumhaari neend ko aate haya nahin aati

adoo hamaari ayaadat ko le ke aaye unhen
kahaan ye mar rahi ab bhi qaza nahin aati

lahd pe aaye the do phool bhi chadha jaate
abhi tak aap mein boo-e-wafa nahin aati

meri lahd ko vo un ka ye kah kar thukraana
sadaa-e-naara-e-sad-marhaba nahin aati

sitam hai aur mere dil-shikan ka ye kehna
shikast-e-sheesha-e-dil ki sada nahin aati

jalaal ham ye na maanenge tu use nahin yaad
tujhe kabhi koi hichki bhi kya nahin aati

जफ़ा की उस से शिकायत ज़रा नहीं आती
वो याद ही हमें शुक्र-ए-ख़ुदा नहीं आती

निकल के ता-ब-लब आह-ए-रसा नहीं आती
कराहता है जो अब दिल सदा नहीं आती

हमारी ख़ाक की मिट्टी है क्या ख़राब ऐ चर्ख़
कभी इधर को उधर की हवा नहीं आती

शब-ए-विसाल कहाँ ख़्वाब-ए-नाज़ का मौक़ा
तुम्हारी नींद को आते हया नहीं आती

अदू हमारी अयादत को ले के आए उन्हें
कहाँ ये मर रही अब भी क़ज़ा नहीं आती

लहद पे आए थे दो फूल भी चढ़ा जाते
अभी तक आप में बू-ए-वफ़ा नहीं आती

मिरी लहद को वो उन का ये कह कर ठुकराना
सदा-ए-नारा-ए-सद-मर्हबा नहीं आती

सितम है और मिरे दिल-शिकन का ये कहना
शिकस्त-ए-शीशा-ए-दिल की सदा नहीं आती

'जलाल' हम ये न मानेंगे तू उसे नहीं याद
तुझे कभी कोई हिचकी भी क्या नहीं आती

  - Jalal Lakhnavi

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari