jaane waala iztiraab-e-dil nahin
ye tadap taskin ke qaabil nahin
jaan de dena to kuchh mushkil nahin
jaan ka khwaahan magar ai dil nahin
tujh se khush-chashm aur bhi dekhe magar
ye nigaah ye putliyaan ye til nahin
rahte hain be-khud jo tere ishq mein
vo bahut hoshyaar hain ghaafil nahin
jo na siske vo tira kushta hai kab
jo na tadpe vo tira bismil nahin
hijr mein dam ka nikalna hai muhaal
aap aa niklen to kuchh mushkil nahin
aaiye hasrat-bhare dil mein kabhi
kya ye mehfil aap ki mehfil nahin
ham to zaahid marte hain us khuld par
jo behishto mein tire shaamil nahin
vo to vo tasveer bhi us ki jalaal
kahti hai tum baat ke qaabil nahin
जाने वाला इज़्तिराब-ए-दिल नहीं
ये तड़प तस्कीन के क़ाबिल नहीं
जान दे देना तो कुछ मुश्किल नहीं
जान का ख़्वाहाँ मगर ऐ दिल नहीं
तुझ से ख़ुश-चश्म और भी देखे मगर
ये निगह ये पुतलियाँ ये तिल नहीं
रहते हैं बे-ख़ुद जो तेरे इश्क़ में
वो बहुत होश्यार हैं ग़ाफ़िल नहीं
जो न सिसके वो तिरा कुश्ता है कब
जो न तड़पे वो तिरा बिस्मिल नहीं
हिज्र में दम का निकलना है मुहाल
आप आ निकलें तो कुछ मुश्किल नहीं
आइए हसरत-भरे दिल में कभी
क्या ये महफ़िल आप की महफ़िल नहीं
हम तो ज़ाहिद मरते हैं उस ख़ुल्द पर
जो बहिश्तों में तिरे शामिल नहीं
वो तो वो तस्वीर भी उस की 'जलाल'
कहती है तुम बात के क़ाबिल नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi
our suggestion based on Jalal Lakhnavi
As you were reading Ulfat Shayari Shayari