mujhe khushi hai meri us se rasm-o-raah nahin | मुझे ख़ुशी है मिरी उस से रस्म-ओ-राह नहीं

  - Jaleel 'Aali'

mujhe khushi hai meri us se rasm-o-raah nahin
vo shakhs dil se kisi ka bhi khair-khwah nahin

sabhi khamosh hain aapas ki dushmani mein yahan
kisi ki be-gunahi ka koi gawaah nahin

vo mansabon ki hawa mein hai kisi tarah samjhe
ghulaam shehar mein koi bhi kaj-kulaah nahin

ham apne shauq diyon ki salamati chahein
kisi ke anjum-o-mahtaab par nigaah nahin

ana ke mol na takht-e-shahi bhi le aayein
vagarna kis ko tamanna-e-naam-o-jaah nahin

मुझे ख़ुशी है मिरी उस से रस्म-ओ-राह नहीं
वो शख़्स दिल से किसी का भी ख़ैर-ख़्वाह नहीं

सभी ख़मोश हैं आपस की दुश्मनी में यहाँ
किसी की बे-गुनही का कोई गवाह नहीं

वो मंसबों की हवा में है किसी तरह समझे
ग़ुलाम शहर में कोई भी कज-कुलाह नहीं

हम अपने शौक़ दियों की सलामती चाहें
किसी के अंजुम-ओ-महताब पर निगाह नहीं

अना के मोल न तख़्त-ए-शही भी ले आएँ
वगर्ना किस को तमन्ना-ए-नाम-ओ-जाह नहीं

  - Jaleel 'Aali'

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari