yaad hai us ne mujh se kaha tha
jaanaan
baitho
aaj bade din ba'ad aayi ho
shaayad tum to in galiyon ko in raston ko darwaazon ko
ik muddat se bhool chuki ho
rishton ke darwaazon se darwaaze milte hain
aur deewarein deewaron se
aankhon se ojhal hone se
rishte kam nahin pad jaate
us ne kaha phir
baitho jaanaan chaai piyogi
aaj tumhein main apne haath ki chaai la kar deta hoon
pee kar mujhe bataana tum
kaisi hai ye
jaanti ho na mujhe
bhulkad sa hoon main
cheezen akshar rakh kar kahi pe bhi
kho jaata hoon
sochon mein gum ho jaata hoon
yaad nahin rehta hai akshar
cheeni daali hai ya feeki
lekin chhodo meri gumshudgi ki baatein
chaai pee kar batlaana tum
is mein meetha kam ya ziyaada
ya feeki hai
meetha daalna bhool gaya hoon
ya phir
us ke chehre par aayi
us ek tamannaa ki vo rangat
shaadaabi main dekh rahi thi
us ki aankhen mere labon se
daad-talab theen
us ki aankhen dhundh rahi theen jaane kya
meri aankhon mein
us ne kaha phir
jaanaan
chaai meethi hui to tum jaisi hai
feeki hui to mujh jaisi
hanste hanste chaai ka phir sip liya main ne
us ka dhyaan bata kar
phir baaton baaton mein main ne
us ka cup bhi pee daala
us chehre ki shaadaabi
ke murjhaane se pehle pehle
us ik phool ke kumhalane se pehle pehle
chaahat ke mausam ki sarhad
meethe feke
do lafzon ki doori par hai
याद है उस ने मुझ से कहा था
जानाँ
बैठो
आज बड़े दिन बा'द आई हो
शायद तुम तो इन गलियों को इन रस्तों को दरवाज़ों को
इक मुद्दत से भूल चुकी हो
रिश्तों के दरवाज़ों से दरवाज़े मिलते हैं
और दीवारें दीवारों से
आँखों से ओझल होने से
रिश्ते कम नहीं पड़ जाते
उस ने कहा फिर
बैठो जानाँ चाय पियोगी
आज तुम्हें मैं अपने हाथ की चाय ला कर देता हूँ
पी कर मुझे बताना तुम
कैसी है ये
जानती हो ना मुझे
भुलक्कड़ सा हूँ मैं
चीज़ें अक्सर रख कर कहीं पे भी
खो जाता हूँ
सोचों में गुम हो जाता हूँ
याद नहीं रहता है अक्सर
चीनी डाली है या फीकी
लेकिन छोड़ो मेरी गुमशुदगी की बातें
चाय पी कर बतलाना तुम
इस में मीठा कम या ज़ियादा
या फीकी है
मीठा डालना भूल गया हूँ
या फिर
उस के चेहरे पर आई
उस एक तमन्ना की वो रंगत
शादाबी मैं देख रही थी
उस की आँखें मेरे लबों से
दाद-तलब थीं
उस की आँखें ढूँड रही थीं जाने क्या
मेरी आँखों में
उस ने कहा फिर
जानाँ
चाय मीठी हुई तो तुम जैसी है
फीकी हुई तो मुझ जैसी
हँसते हँसते चाय का फिर सिप लिया मैं ने
उस का ध्यान बटा कर
फिर बातों बातों में मैं ने
उस का कप भी पी डाला
उस चेहरे की शादाबी
के मुरझाने से पहले पहले
उस इक फूल के कुम्हलाने से पहले पहले
चाहत के मौसम की सरहद
मीठे फीके
दो लफ़्ज़ों की दूरी पर है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Janan Malik
As you were reading Freedom Shayari Shayari