kaisa abr hai jis ke barsne ki
har pal ummeed liye
aankhen tishna-lab rahti hain
is ko dekh ke
ye kisht-e-baraani bharti hai
ye janmon ki pyaas ho jaise is mitti ki
ek ik boond utarti mujh se baatein karti hai
pehle main baarish ko dekh ke khush hoti thi
ab main is mein bheeg ke is ki baatein sunti hoon
कैसा अब्र है जिस के बरसने की
हर पल उम्मीद लिए
आँखें तिश्ना-लब रहती हैं
इस को देख के
ये किश्त-ए-बारानी भरती है
ये जन्मों की प्यास हो जैसे इस मिट्टी की
एक इक बूँद उतरती मुझ से बातें करती है
पहले मैं बारिश को देख के ख़ुश होती थी
अब मैं इस में भीग के इस की बातें सुनती हूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Janan Malik
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari