shehzaade
ai mulk-e-sukhan ke shehzaade
dekho main ne
nazm likhi hai
nazm ki jaise dil ka shehar
shehar ki jis mein tum rahte ho
aadhe hans hans baatein karte
aur aadhe gum-sum rahte ho
tumhein adhuri baatein aur adhuri nazmein
achhi lagti hain na
tum kahte ho baat adhuri main bhi ik pooraapan hota hai
khaamoshi ke kitne maani hote hain
kuchh baatein an-kahi mukammal
shehzaade
main nazm adhuri likh laai hoon
tum is nazm ko unwaan de do
tum ye nazm mukammal kar do
lekin tum is gahri chup mein
kya is nazm ko tum anjaam nahin doge
is ko naam nahin doge
शहज़ादे
ऐ मुल्क-ए-सुख़न के शहज़ादे
देखो मैं ने
नज़्म लिखी है
नज़्म कि जैसे दिल का शहर
शहर कि जिस में तुम रहते हो
आधे हँस हँस बातें करते
और आधे गुम-सुम रहते हो
तुम्हें अधूरी बातें और अधूरी नज़्में
अच्छी लगती हैं ना
तुम कहते हो बात अधूरी मैं भी इक पूरापन होता है
ख़ामोशी के कितने मा'नी होते हैं
कुछ बातें अन-कही मुकम्मल
शहज़ादे
मैं नज़्म अधूरी लिख लाई हूँ
तुम इस नज़्म को उनवाँ दे दो
तुम ये नज़्म मुकम्मल कर दो
लेकिन तुम इस गहरी चुप में
क्या इस नज़्म को तुम अंजाम नहीं दोगे
इस को नाम नहीं दोगे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Janan Malik
As you were reading Shehar Shayari Shayari