ek hi muzda subh laati hai | एक ही मुज़्दा सुब्ह लाती है

  - Jaun Elia

ek hi muzda subh laati hai
dhoop aangan mein phail jaati hai

rang-e-mausam hai aur baad-e-saba
shehar koochon mein khaak udaati hai

farsh par kaaghaz udte firte hain
mez par gard jamti jaati hai

sochta hoon ki us ki yaad aakhir
ab kise raat bhar jagati hai

main bhi izn-e-nava-gari chaahoon
be-dili bhi to lab hilati hai

so gaye ped jaag uthi khushboo
zindagi khwaab kyun dikhaati hai

us saraapa wafa ki furqat mein
khwaahish-e-ghair kyun sataati hai

aap apne se hum-sukhan rahna
hum-nasheen saans phool jaati hai

kya sitam hai ki ab tiri soorat
ghaur karne pe yaad aati hai

kaun is ghar ki dekh-bhaal kare
roz ik cheez toot jaati hai

एक ही मुज़्दा सुब्ह लाती है
धूप आँगन में फैल जाती है

रंग-ए-मौसम है और बाद-ए-सबा
शहर कूचों में ख़ाक उड़ाती है

फ़र्श पर काग़ज़ उड़ते फिरते हैं
मेज़ पर गर्द जमती जाती है

सोचता हूँ कि उस की याद आख़िर
अब किसे रात भर जगाती है

मैं भी इज़्न-ए-नवा-गरी चाहूँ
बे-दिली भी तो लब हिलाती है

सो गए पेड़ जाग उठी ख़ुश्बू
ज़िंदगी ख़्वाब क्यूँ दिखाती है

उस सरापा वफ़ा की फ़ुर्क़त में
ख़्वाहिश-ए-ग़ैर क्यूँ सताती है

आप अपने से हम-सुख़न रहना
हम-नशीं साँस फूल जाती है

क्या सितम है कि अब तिरी सूरत
ग़ौर करने पे याद आती है

कौन इस घर की देख-भाल करे
रोज़ इक चीज़ टूट जाती है

  - Jaun Elia

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari