tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jaao | तमन्‍ना फिर मचल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ - Javed Akhtar

tamanna phir machal jaaye agar tum milne aa jaao
ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jaao

mujhe gham hai ki maine zindagi mein kuch nahin paaya
ye gham dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaao

nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere
zamaana mujhse jal jaaye agar tum milne aa jaao

ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein
bala har ek tal jaaye agar tum milne aa jaao

तमन्‍ना फिर मचल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ
ये मौसम ही बदल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ

मुझे ग़म है कि मैंने ज़िन्‍दगी में कुछ नहीं पाया
ये ग़म दिल से निकल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ

नहीं मिलते हो मुझसे तुम तो सब हमदर्द हैं मेरे
ज़माना मुझसे जल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ

ये दुनिया भर के झगड़े घर के क़िस्से काम की बातें
बला हर एक टल जाए, अगर तुम मिलने आ जाओ

- Javed Akhtar
28 Likes

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari