zara mausam to badla hai magar pedon ki shaakhon par naye patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge | ज़रा मौसम तो बदला है मगर पेड़ों की शाख़ों पर नए पत्तों के आने में अभी कुछ दिन लगेंगे

  - Javed Akhtar

zara mausam to badla hai magar pedon ki shaakhon par naye patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge
bahut se zard chehron par ghubaar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskuraane mein abhi kuchh din lagenge

kabhi ham ko yaqeen tha zo'm tha duniya hamaari jo mukhalif hai to ho jaaye magar tum meherbaan ho
hamein ye baat vaise yaad to ab kya hai lekin haan ise yaksar bhulaane mein abhi kuchh din lagenge

jahaan itne masaib hon jahaan itni pareshaani kisi ka bewafa hona hai koi saanehaa kya
bahut maqool hai ye baat lekin is haqeeqat tak dil-e-naadaan ko laane mein abhi kuchh din lagenge

koi toote hue sheeshe liye afsurda-o-maghrum kab tak yun guzaare be-talab be-aarzoo din
to in khwaabon ki kirchen ham ne palkon se jhatak deen par naye armaan sajaane mein abhi kuchh din lagenge

tawhahum ki siyah shab ko kiran se chaak kar ke aagahi har ek aangan mein naya suraj utaare
magar afsos ye sach hai vo shab thi aur ye suraj hai ye sab ko maan jaane mein abhi kuchh din lagenge

puraani manzilon ka shauq to kis ko hai baaki ab nayi hain manzilen hain sab ke dil mein jin ke armaan
bana lena nayi manzil na tha mushkil magar ai dil naye raaste banaane mein abhi kuchh din lagenge

andhere dhal gaye raushan hue manzar zameen jaagi falak jaaga to jaise jaag utthi zindagaani
magar kuchh yaad-e-maazi odh ke soye hue logon ko lagta hai jagaane mein abhi kuchh din lagenge

ज़रा मौसम तो बदला है मगर पेड़ों की शाख़ों पर नए पत्तों के आने में अभी कुछ दिन लगेंगे
बहुत से ज़र्द चेहरों पर ग़ुबार-ए-ग़म है कम बे-शक पर उन को मुस्कुराने में अभी कुछ दिन लगेंगे

कभी हम को यक़ीं था ज़ो'म था दुनिया हमारी जो मुख़ालिफ़ है तो हो जाए मगर तुम मेहरबाँ हो
हमें ये बात वैसे याद तो अब क्या है लेकिन हाँ इसे यकसर भुलाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

जहाँ इतने मसाइब हों जहाँ इतनी परेशानी किसी का बेवफ़ा होना है कोई सानेहा क्या
बहुत माक़ूल है ये बात लेकिन इस हक़ीक़त तक दिल-ए-नादाँ को लाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

कोई टूटे हुए शीशे लिए अफ़्सुर्दा-ओ-मग़्मूम कब तक यूँ गुज़ारे बे-तलब बे-आरज़ू दिन
तो इन ख़्वाबों की किर्चें हम ने पलकों से झटक दीं पर नए अरमाँ सजाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

तवहहुम की सियह शब को किरन से चाक कर के आगही हर एक आँगन में नया सूरज उतारे
मगर अफ़्सोस ये सच है वो शब थी और ये सुरज है ये सब को मान जाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

पुरानी मंज़िलों का शौक़ तो किस को है बाक़ी अब नई हैं मंज़िलें हैं सब के दिल में जिन के अरमाँ
बना लेना नई मंज़िल न था मुश्किल मगर ऐ दिल नए रस्ते बनाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

अँधेरे ढल गए रौशन हुए मंज़र ज़मीं जागी फ़लक जागा तो जैसे जाग उट्ठी ज़िंदगानी
मगर कुछ याद-ए-माज़ी ओढ़ के सोए हुए लोगों को लगता है जगाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

  - Javed Akhtar

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari