ek choohiya ye boli bete se
tujh se aankhen meri hui raushan
ham yahan ke purane saakin hain
kai pushton ka guzra hai bachpan
vo jo is ghar ka hai bada daalaan
us mein rahte hain khaane ke bartan
paas ik tokri bhi rahti hai
us mein hain aaloo gobhi aur baigan
ne'ematein sau hain tere khaane ko
lekin ai noor-e-chashm-o-jaan-e-man
usi ghar ke hai ek kone mein
taar ki jaaliyon ka ek maskan
log use choohe-daan kahte hain
hai ye chuhiiyon ki qaum ka dushman
chahe us mein hon ne'ematein laakhon
hain vo sab teri maut ke kaaran
tere jitne buzurg guzre hain
hazm unhen kar gaya yahi dushman
tu agar us ke paas ja pahuncha
ho gai teri jaan ko uljhan
rahna har waqt choohe-daan se door
aur phirna har ek samt magan
chuhe ka baccha baaz rah na saka
kuchh to laalach tha aur kuchh bachpan
raat ko us ke paas aa hi gaya
ek luqme ki thi jo us ko lagan
sar badhaate hi lag gaya khatka
fans gai choohe-daan mein gardan
एक चूहिया ये बोली बेटे से
तुझ से आँखें मिरी हुईं रौशन
हम यहाँ के पुराने साकिन हैं
कई पुश्तों का गुज़रा है बचपन
वो जो इस घर का है बड़ा दालान
उस में रहते हैं खाने के बर्तन
पास इक टोकरी भी रहती है
उस में हैं आलू गोभी और बैगन
ने'मतें सौ हैं तेरे खाने को
लेकिन ऐ नूर-ए-चश्म-ओ-जान-ए-मन
उसी घर के है एक कोने में
तार की जालियों का एक मस्कन
लोग उसे चूहे-दान कहते हैं
है ये चुहियों की क़ौम का दुश्मन
चाहे उस में हों ने'मतें लाखों
हैं वो सब तेरी मौत के कारन
तेरे जितने बुज़ुर्ग गुज़रे हैं
हज़्म उन्हें कर गया यही दुश्मन
तू अगर उस के पास जा पहुँचा
हो गई तेरी जाँ को उलझन
रहना हर वक़्त चूहे-दाँ से दूर
और फिरना हर एक सम्त मगन
चूहे का बच्चा बाज़ रह न सका
कुछ तो लालच था और कुछ बचपन
रात को उस के पास आ ही गया
एक लुक़्मे की थी जो उस को लगन
सर बढ़ाते ही लग गया खटका
फँस गई चूहे-दान में गर्दन
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jibreel Siddiqi
As you were reading Waqt Shayari Shayari