hai mili jo saza aashiqi ke liye | है मिली जो सज़ा आशिक़ी के लिए

  - Jitendra "jeet"

hai mili jo saza aashiqi ke liye
kam padi hai meri zindagi ke liye

kya zaroorat padi hijr ki ai khuda
maut kaafi nahin dillagi ke liye

teergi mein kati umr bas isliye
keematein theen nahin raushni ke liye

dost bankar gale se lage the kabhi
aaj mashhoor hain dushmani ke liye

dard aansu udaasi gham-e-hijr hai
aur kya chahiye shayari ke liye

है मिली जो सज़ा आशिक़ी के लिए
कम पड़ी है मिरी ज़िन्दगी के लिए

क्या ज़रूरत पड़ी हिज्र की ऐ ख़ुदा
मौत काफ़ी नहीं दिल्लगी के लिए

तीरगी में कटी उम्र बस इसलिए
की़मतें थीं नहीं रौशनी के लिए

दोस्त बनकर गले से लगे थे कभी
आज मशहूर हैं दुश्मनी के लिए

दर्द आँसू उदासी ग़म-ए-हिज्र है
और क्या चाहिए शायरी के लिए

  - Jitendra "jeet"

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jitendra "jeet"

As you were reading Shayari by Jitendra "jeet"

Similar Writers

our suggestion based on Jitendra "jeet"

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari