lootne ko to gham-e-dehr ne lootaa ab tak | लूटने को तो ग़म-ए-दह्र ने लूटा अब तक

  - Kabir Ahmad Jaisi

lootne ko to gham-e-dehr ne lootaa ab tak
main vo sheesha hoon ki patthar se na toota ab tak

zahar deti rahi har gaam pe duniya mujh ko
daaman-e-zeest to haathon se na chhoota ab tak

un se mil aaya magar soch raha hoon ab bhi
naghma kyun bikhra hai kyun saaz hai toota ab tak

kya kiya tum ne jo is tarah khajil hote ho
mera ehsaas tha jis ne mujhe lootaa ab tak

dasht-e-pur-khaar hai kahte hain ye duniya jis ko
aablaa dil ka magar phir bhi na foota ab tak

raah to raah hai manzil bhi chhuti hai peeche
gardish-e-waqt tira saath na chhoota ab tak

mauj-o-girdaab se shikwa to nahin koi saba
mujh ko be-mehri-e-saahil ne hi lootaa ab tak

लूटने को तो ग़म-ए-दह्र ने लूटा अब तक
मैं वो शीशा हूँ कि पत्थर से न टूटा अब तक

ज़हर देती रही हर गाम पे दुनिया मुझ को
दामन-ए-ज़ीस्त तो हाथों से न छूटा अब तक

उन से मिल आया मगर सोच रहा हूँ अब भी
नग़्मा क्यों बिखरा है क्यों साज़ है टूटा अब तक

क्या किया तुम ने जो इस तरह ख़जिल होते हो
मेरा एहसास था जिस ने मुझे लूटा अब तक

दश्त-ए-पुर-ख़ार है कहते हैं ये दुनिया जिस को
आबला दिल का मगर फिर भी न फूटा अब तक

राह तो राह है मंज़िल भी छुटी है पीछे
गर्दिश-ए-वक़्त तिरा साथ न छूटा अब तक

मौज-ओ-गिर्दाब से शिकवा तो नहीं कोई 'सबा'
मुझ को बे-मेहरी-ए-साहिल ने ही लूटा अब तक

  - Kabir Ahmad Jaisi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ahmad Jaisi

As you were reading Shayari by Kabir Ahmad Jaisi

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ahmad Jaisi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari