apna to khair zikr kya koi nahin nigaah mein | अपना तो ख़ैर ज़िक्र क्या कोई नहीं निगाह में

  - Kabir Ahmad Jaisi

apna to khair zikr kya koi nahin nigaah mein
umr tamaam ho gai chhote se ik gunaah mein

kis ka khiraam-e-naaz tha kaun tha gham ki raah mein
noor sa ik chamak utha qalb-e-shab-e-siyaah mein

kaun samajh sake use rabt-e-nihaan ki baat hai
husn ki har ada mili ishq ke ishtibaah mein

teri nigaah-e-neem-waa kaam to apna kar gai
kaif-e-davaam de gai kulfat-e-gaah-gaah mein

dekho charaagh-e-aagahi rah-e-junoon mein bujh gaya
aql ke hosh gum hain ab ek hi intibaah mein

ek maqaam hai jahaan ek hain aks-o-aaina
ishq ko ja ke dekhiye husn ki jalvaa-gaah mein

dekh rahi hai aaj bhi meri nigaah-e-garm-o-tez
chhupne ko chhup gaye ho tum pardaa-e-mehr-o-maah mein

mahfil-e-zeest mein saba hoga nazar ka haal kya
aag si jab bhadak uthi qalb-e-junoon-panaah mein

अपना तो ख़ैर ज़िक्र क्या कोई नहीं निगाह में
उम्र तमाम हो गई छोटे से इक गुनाह में

किस का ख़िराम-ए-नाज़ था कौन था ग़म की राह में
नूर सा इक चमक उठा क़ल्ब-ए-शब-ए-सियाह में

कौन समझ सके उसे रब्त-ए-निहाँ की बात है
हुस्न की हर अदा मिली इश्क़ के इश्तिबाह में

तेरी निगाह-ए-नीम-वा काम तो अपना कर गई
कैफ़-ए-दवाम दे गई कुल्फ़त-ए-गाह-गाह में

देखो चराग़-ए-आगही राह-ए-जुनूँ में बुझ गया
अक़्ल के होश गुम हैं अब एक ही इंतिबाह में

एक मक़ाम है जहाँ एक हैं अक्स-ओ-आइना
इश्क़ को जा के देखिए हुस्न की जल्वा-गाह में

देख रही है आज भी मेरी निगाह-ए-गर्म-ओ-तेज़
छुपने को छुप गए हो तुम पर्दा-ए-मेहर-ओ-माह में

महफ़िल-ए-ज़ीस्त में 'सबा' होगा नज़र का हाल क्या
आग सी जब भड़क उठी क़ल्ब-ए-जुनूँ-पनाह में

  - Kabir Ahmad Jaisi

Andaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ahmad Jaisi

As you were reading Shayari by Kabir Ahmad Jaisi

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ahmad Jaisi

Similar Moods

As you were reading Andaaz Shayari Shayari