bajaae gul mujhe tohfa diya babulon ka | बजाए गुल मुझे तोहफ़ा दिया बबूलों का

  - Kabir Ajmal

bajaae gul mujhe tohfa diya babulon ka
main munharif to nahin tha tire usoolon ka

izaala kaise karega vo apni bhoolon ka
ki jis ke khoon mein nashsha nahin usoolon ka

nafs ka qarz chukaana bhi koi khel nahin
vo jaan jaayega anjaam apni bhoolon ka

nayi talash ke ye meer-e-kaarwaan honge
banaate jaao yun hi silsila bagoolon ka

ye aadhi tirchi lakeeren badal nahin saktin
hazaar vaasta dete raho usoolon ka

tamaam falsafa-e-kaayenaat khul jaate
kahaan se toot gaya silsila nuzoolon ka

inheen se mujh ko mila azm-e-zindagi ajmal
main jaanta hoon ki kya hai maqaam phoolon ka

बजाए गुल मुझे तोहफ़ा दिया बबूलों का
मैं मुन्हरिफ़ तो नहीं था तिरे उसूलों का

इज़ाला कैसे करेगा वो अपनी भूलों का
कि जिस के ख़ून में नश्शा नहीं उसूलों का

नफ़स का क़र्ज़ चुकाना भी कोई खेल नहीं
वो जान जाएगा अंजाम अपनी भूलों का

नई तलाश के ये मीर-ए-कारवाँ होंगे
बनाते जाओ यूँ ही सिलसिला बगूलों का

ये आड़ी तिरछी लकीरें बदल नहीं सकतीं
हज़ार वास्ता देते रहो उसूलों का

तमाम फ़लसफ़ा-ए-काएनात खुल जाते
कहाँ से टूट गया सिलसिला नुज़ूलों का

इन्हीं से मुझ को मिला अज़्म-ए-ज़िंदगी 'अजमल'
मैं जानता हूँ कि क्या है मक़ाम फूलों का

  - Kabir Ajmal

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari