ik tasavvur-e-be-karaan tha aur main | इक तसव्वुर-ए-बे-कराँ था और मैं

  - Kabir Ajmal

ik tasavvur-e-be-karaan tha aur main
dard ka sail-e-ravaan tha aur main

gham ka ik aatish-fishaan tha aur main
door tak gahra dhuaan tha aur main

kis se main un ka thikaana poochta
saamne khaali makaan tha aur main

mere chehre se numayaan kaun tha
aainon ka ik jahaan tha aur main

ik shikasta naav thi ummeed ki
ek bahr-e-be-karan tha aur main

justuju thi manzil-e-maahoom ki
ye zameen thi aasmaan tha aur main

kaun tha jo dhyaan se sunta mujhe
qissa-e-ashuftagaa tha aur main

haath mein ajmal koi tesha na tha
azm tha koh-e-giraan tha aur main

इक तसव्वुर-ए-बे-कराँ था और मैं
दर्द का सैल-ए-रवाँ था और मैं

ग़म का इक आतिश-फ़िशाँ था और मैं
दूर तक गहरा धुआँ था और मैं

किस से मैं उन का ठिकाना पूछता
सामने ख़ाली मकाँ था और मैं

मेरे चेहरे से नुमायाँ कौन था
आइनों का इक जहाँ था और मैं

इक शिकस्ता नाव थी उम्मीद की
एक बहर-ए-बे-कराँ था और मैं

जुस्तुजू थी मंज़िल-ए-मौहूम की
ये ज़मीं थी आसमाँ था और मैं

कौन था जो ध्यान से सुनता मुझे
क़िस्सा-ए-अशुफ़्तगाँ था और मैं

हाथ में 'अजमल' कोई तेशा न था
अज़्म था कोह-ए-गिराँ था और मैं

  - Kabir Ajmal

Cigarette Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Cigarette Shayari Shayari