siyaahi dhal ke palkon par bhi aaye
koi lamha dhanak ban kar bhi aaye
gulaabi seedhiyon se chaand utre
khiraam-e-naaz ka manzar bhi aaye
lahu rishton ka ab jamne laga hai
koi sailaab mere ghar bhi aaye
main apni fikr ka koh-e-nida hoon
koi haatim mere andar bhi aaye
main apne aap ka qaateel hoon ajmal
mera aaseb ab baahar bhi aaye
सियाही ढल के पलकों पर भी आए
कोई लम्हा धनक बन कर भी आए
गुलाबी सीढ़ियों से चाँद उतरे
ख़िराम-ए-नाज़ का मंज़र भी आए
लहू रिश्तों का अब जमने लगा है
कोई सैलाब मेरे घर भी आए
मैं अपनी फ़िक्र का कोह-ए-निदा हूँ
कोई हातिम मिरे अंदर भी आए
मैं अपने आप का क़ातिल हूँ 'अजमल'
मिरा आसेब अब बाहर भी आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Ajmal
our suggestion based on Kabir Ajmal
As you were reading Ghar Shayari Shayari