bujhti ragon mein noor bikharta hua sa main | बुझती रगों में नूर बिखरता हुआ सा मैं

  - Kabir Ajmal

bujhti ragon mein noor bikharta hua sa main
toofaan-e-nang-e-mauj guzarta hua sa main

har shab ujaalti hui bheegi rutoon ke khwaab
aur misl-e-aks-e-khwaab bikharta hua sa main

mauj-e-talab mein tair gaya tha bas ek naam
phir yun hua ki jee utha marta hua sa main

ik dhund si falak se utarti dikhaai de
phir us mein aks aks sanwarta hua sa main

dast-e-dua utha to utha us ke hi huzoor
lekin ye kya usi se mukarta hua sa main

ab ke hawa chale to bikhar jaaun door tak
lekin tiri gali mein theharta hua sa main

main bujh gaya to kaun ujaalega tera roop
zinda hoon is khayal mein marta hua sa main

ajmal vo neem-shab ki duaaein kahaan gaeein
ik shor-e-aagahi hai bikharta hua sa main

बुझती रगों में नूर बिखरता हुआ सा मैं
तूफ़ान-ए-नंग-ए-मौज गुज़रता हुआ सा मैं

हर शब उजालती हुई भीगी रुतों के ख़्वाब
और मिस्ल-ए-अक्स-ए-ख़्वाब बिखरता हुआ सा मैं

मौज-ए-तलब में तैर गया था बस एक नाम
फिर यूँ हुआ कि जी उठा मरता हुआ सा मैं

इक धुँद सी फ़लक से उतरती दिखाई दे
फिर उस में अक्स अक्स सँवरता हुआ सा मैं

दस्त-ए-दुआ उठा तो उठा उस के ही हुज़ूर
लेकिन ये क्या उसी से मुकरता हुआ सा मैं

अब के हवा चले तो बिखर जाऊँ दूर तक
लेकिन तिरी गली में ठहरता हुआ सा मैं

मैं बुझ गया तो कौन उजालेगा तेरा रूप
ज़िंदा हूँ इस ख़याल में मरता हुआ सा मैं

'अजमल' वो नीम-शब की दुआएँ कहाँ गईं
इक शोर-ए-आगही है बिखरता हुआ सा मैं

  - Kabir Ajmal

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari