vo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai | वो मौज-ए-हवा जो अभी बहने की नहीं है

  - Kabir Ajmal

vo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai
ham jaante hain aap se kehne ki nahin hai

yun khush na ho ai sheher-e-nigaaraan ke dar o baam
ye waadi-e-saffaak bhi rahne ki nahin hai

ai kaash koi koh-e-nida hi se pukaare
deewaar-e-sukoot aap hi dhahne ki nahin hai

kyun aks-e-gurezaan se chamak bujh gai dil ki
ye raat to mahtaab ke gehne ki nahin hai

raqqaasa-e-sehra-e-junoon bhi hai yahi mauj
yak chashma-e-khun-naab se bahne ki nahin hai

ik tarafaa tamasha hai mujhe shokhi-e-guftaar
aashuftagi-e-'meer bhi sahne ki nahin hai

वो मौज-ए-हवा जो अभी बहने की नहीं है
हम जानते हैं आप से कहने की नहीं है

यूँ ख़ुश न हो ऐ शहर-ए-निगाराँ के दर ओ बाम
ये वादी-ए-सफ़्फ़ाक भी रहने की नहीं है

ऐ काश कोई कोह-ए-निदा ही से पुकारे
दीवार-ए-सुकूत आप ही ढहने की नहीं है

क्यूँ अक्स-ए-गुरेज़ाँ से चमक बुझ गई दिल की
ये रात तो महताब के गहने की नहीं है

रक़्क़ासा-ए-सहरा-ए-जुनूँ भी है यही मौज
यक चश्मा-ए-ख़ूँ-नाब से बहने की नहीं है

इक तरफ़ा तमाशा है मुझे शोख़ी-ए-गुफ़्तार
आशुफ़्तगी-ए-'मीर' भी सहने की नहीं है

  - Kabir Ajmal

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari