ufuq ke aakhiri manzar mein jagmagaaun main | उफ़ुक़ के आख़िरी मंज़र में जगमगाऊँ मैं

  - Kabir Ajmal

ufuq ke aakhiri manzar mein jagmagaaun main
hisaar-e-zaat se nikloon to khud ko paau main

zameer o zehan mein ik sard jang jaari hai
kise shikast doon aur kis pe fath paau main

tasavvuraat ke aangan mein chaand utara hai
ravish ravish tiri chaahat se jagmagaaun main

zameen ki fikr mein sadiyaan guzar gaeein ajmal
kahaan se koi khabar aasmaan ki laaun main

उफ़ुक़ के आख़िरी मंज़र में जगमगाऊँ मैं
हिसार-ए-ज़ात से निकलूँ तो ख़ुद को पाऊँ मैं

ज़मीर ओ ज़ेहन में इक सर्द जंग जारी है
किसे शिकस्त दूँ और किस पे फ़त्ह पाऊँ मैं

तसव्वुरात के आँगन में चाँद उतरा है
रविश रविश तिरी चाहत से जगमगाऊँ मैं

ज़मीं की फ़िक्र में सदियाँ गुज़र गईं 'अजमल'
कहाँ से कोई ख़बर आसमाँ की लाऊँ मैं

  - Kabir Ajmal

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari