kuchh taalluq bhi nahin rasm-e-jahaan se aage | कुछ तअल्लुक़ भी नहीं रस्म-ए-जहाँ से आगे

  - Kabir Ajmal

kuchh taalluq bhi nahin rasm-e-jahaan se aage
us se rishta bhi raha vaham o gumaan se aage

le ke pahunchee hai kahaan seem-badan ki khwaahish
kuchh ilaqa na raha sood-o-ziyaan se aage

khwaab-zaaron mein vo chehra hai numoo ki soorat
aur ik fasl ugi rishta-e-jaan se aage

kab talak apni hi saanson ka chukaata rahoon qarz
ai meri aankh koi khwaab dhuaan se aage

shaakh-e-ehsaas pe khilte rahe zakhamon ke gulaab
kis ne mehsoos kiya shorish-e-jaa se aage

jab bhi bol uthhenge tanhaai mein likkhe hue harf
failte jaayenge naaqoos o azaan se aage

jis ki kirnon se ujaala hai lahu mein ajmal
jal raha hai vo diya kaahkashaan se aage

कुछ तअल्लुक़ भी नहीं रस्म-ए-जहाँ से आगे
उस से रिश्ता भी रहा वहम ओ गुमाँ से आगे

ले के पहुँची है कहाँ सीम-बदन की ख़्वाहिश
कुछ इलाक़ा न रहा सूद-ओ-ज़ियाँ से आगे

ख़्वाब-ज़ारों में वो चेहरा है नुमू की सूरत
और इक फ़स्ल उगी रिश्ता-ए-जाँ से आगे

कब तलक अपनी ही साँसों का चुकाता रहूँ क़र्ज़
ऐ मिरी आँख कोई ख़्वाब धुआँ से आगे

शाख़-ए-एहसास पे खिलते रहे ज़ख़्मों के गुलाब
किस ने महसूस किया शोरिश-ए-जाँ से आगे

जब भी बोल उट्ठेंगे तन्हाई में लिक्खे हुए हर्फ़
फैलते जाएँगे नाक़ूस ओ अज़ाँ से आगे

जिस की किरनों से उजाला है लहू में 'अजमल'
जल रहा है वो दिया काहकशाँ से आगे

  - Kabir Ajmal

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari