hawa ki zad pe charaagh-e-shab-e-fasaana tha | हवा की ज़द पे चराग़-ए-शब-ए-फ़साना था

  - Kabir Ajmal

hawa ki zad pe charaagh-e-shab-e-fasaana tha
magar hamein bhi usi se diya jalana tha

hamein bhi yaad na aayi bahaar-e-ishwa-taraaz
use bhi hijr ka mausam bahut suhaana tha

safar azaab sahi dasht-e-gumrahi ka magar
kati tanaab to khema ujad hi jaana tha

humeen ne raqs kiya naghma-e-fana par bhi
hamein hi palkon pe hijrat ka baar uthaana tha

usi ki goonj hai taar-e-nafs mein ab ke miyaan
sadaa-e-hoo ko bhi warna kise jagaana tha

ham aise khaak-nasheenon ka zikr kya ki hamein
lahu ka qarz to har haal mein chukaana tha

vo mere khwaab chura kar bhi khush nahin ajmal
vo ek khwaab lahu mein jo phail jaana tha

हवा की ज़द पे चराग़-ए-शब-ए-फ़साना था
मगर हमें भी उसी से दिया जलाना था

हमें भी याद न आई बहार-ए-इश्वा-तराज़
उसे भी हिज्र का मौसम बहुत सुहाना था

सफ़र अज़ाब सही दश्त-ए-गुमरही का मगर
कटी तनाब तो ख़ेमा उजड़ ही जाना था

हमीं ने रक़्स किया नग़्मा-ए-फ़ना पर भी
हमें ही पलकों पे हिजरत का बार उठाना था

उसी की गूँज है तार-ए-नफ़स में अब के मियाँ
सदा-ए-हू को भी वर्ना किसे जगाना था

हम ऐसे ख़ाक-नशीनों का ज़िक्र क्या कि हमें
लहू का क़र्ज़ तो हर हाल में चुकाना था

वो मेरे ख़्वाब चुरा कर भी ख़ुश नहीं 'अजमल'
वो एक ख़्वाब लहू में जो फैल जाना था

  - Kabir Ajmal

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari