vo khwaab talabgaar-e-tamaasha bhi nahin hai | वो ख़्वाब तलबगार-ए-तमाशा भी नहीं है

  - Kabir Ajmal

vo khwaab talabgaar-e-tamaasha bhi nahin hai
kahte hain kisi ne use dekha bhi nahin hai

pehli si vo khushboo-e-tamanna bhi nahin hai
is baar koi khauf hawa ka bhi nahin hai

us chaand ki angadaai se raushan hain dar o baam
jo pardaa-e-shab-rang pe ubhara bhi nahin hai

kahte hain ki uthne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur is ke siva koi tamasha bhi nahin hai

is shehar ki pehchaan theen vo phool si aankhen
ab yun hai ki un aankhon ka charcha bhi nahin hai

kyun baam pe aawazon ka dhammaal hai ajmal
is ghar pe to aaseb ka saaya bhi nahin hai

वो ख़्वाब तलबगार-ए-तमाशा भी नहीं है
कहते हैं किसी ने उसे देखा भी नहीं है

पहली सी वो ख़ुशबू-ए-तमन्ना भी नहीं है
इस बार कोई ख़ौफ़ हवा का भी नहीं है

उस चाँद की अंगड़ाई से रौशन हैं दर ओ बाम
जो पर्दा-ए-शब-रंग पे उभरा भी नहीं है

कहते हैं कि उठने को है अब रस्म-ए-मोहब्बत
और इस के सिवा कोई तमाशा भी नहीं है

इस शहर की पहचान थीं वो फूल सी आँखें
अब यूँ है कि उन आँखों का चर्चा भी नहीं है

क्यूँ बाम पे आवाज़ों का धम्माल है 'अजमल'
इस घर पे तो आसेब का साया भी नहीं है

  - Kabir Ajmal

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari