apni ana se bar-sar-e-paikaar main hi tha
sach bolne ki dhun thi sar-e-daar main hi tha
saazish rachi gai thi kuchh aisi mere khilaaf
har anjuman mein bais-e-aazaar main hi tha
sau kartabon se zakham lagaaye gaye mujhe
shaayad ki apne ahad ka shehkaar main hi tha
lamhon ki baaz-gasht mein sadiyon ki goonj thi
aur aagahi ka mujrim-e-izhaar main hi tha
tahzeeb ki ragon se tapakte lahu mein tar
dahleez mein pada hua akhbaar main hi tha
ajmal safar mein saath raheen yun sauabatein
jaise ki har saza ka saza-waar main hi tha
अपनी अना से बर-सर-ए-पैकार मैं ही था
सच बोलने की धुन थी सर-ए-दार मैं ही था
साज़िश रची गई थी कुछ ऐसी मिरे ख़िलाफ़
हर अंजुमन में बाइस-ए-आज़ार मैं ही था
सौ करतबों से ज़ख़्म लगाए गए मुझे
शायद कि अपने अहद का शहकार मैं ही था
लम्हों की बाज़-गश्त में सदियों की गूँज थी
और आगही का मुजरिम-ए-इज़हार मैं ही था
तहज़ीब की रगों से टपकते लहू में तर
दहलीज़ में पड़ा हुआ अख़बार मैं ही था
'अजमल' सफ़र में साथ रहीं यूँ सऊबतें
जैसे कि हर सज़ा का सज़ा-वार मैं ही था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Ajmal
our suggestion based on Kabir Ajmal
As you were reading Qaid Shayari Shayari