main jism o jaan ke khel mein bebaak ho gaya | मैं जिस्म ओ जाँ के खेल में बेबाक हो गया

  - Kabir Ajmal

main jism o jaan ke khel mein bebaak ho gaya
kis ne ye choo diya hai ki main chaak ho gaya

kis ne kaha vujood mera khaak ho gaya
mera lahu to aap ki poshaak ho gaya

be-sar ke phir rahe hain zamaana-shanaas log
zinda-nafs ko ahad ka idraak ho gaya

kab tak lahu ki aag mein jalte rahenge log
kab tak jiyega vo jo ghazbanaak ho gaya

zinda koi kahaan tha ki sadqa utaarta
aakhir tamaam shehar hi khaashaak ho gaya

lehje ki aanch roop ki shabnam bhi pee gai
ajmal gulon ki chaanv mein namnaak ho gaya

मैं जिस्म ओ जाँ के खेल में बेबाक हो गया
किस ने ये छू दिया है कि मैं चाक हो गया

किस ने कहा वजूद मिरा ख़ाक हो गया
मेरा लहू तो आप की पोशाक हो गया

बे-सर के फिर रहे हैं ज़माना-शनास लोग
ज़िंदा-नफ़स को अहद का इदराक हो गया

कब तक लहू की आग में जलते रहेंगे लोग
कब तक जियेगा वो जो ग़ज़बनाक हो गया

ज़िंदा कोई कहाँ था कि सदक़ा उतारता
आख़िर तमाम शहर ही ख़ाशाक हो गया

लहजे की आँच रूप की शबनम भी पी गई
'अजमल' गुलों की छाँव में नमनाक हो गया

  - Kabir Ajmal

Wada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Wada Shayari Shayari