sharaar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua | शरार-ए-इश्क़ सदियों का सफ़र करता हुआ

  - Kabir Ajmal

sharaar-e-ishq sadiyon ka safar karta hua
bujha mujh mein mujhi ko be-khabar karta hua

rumooz-e-khaak baab-e-mushtahar karta hua
yoonhi aabaad sehra-e-hunar karta hua

zameen-e-justujoo gard-e-safar karta hua
ye mujh mein kaun hai mujh se mafar karta hua

abhi tak lahlahata hai vo sabza aankh mein
vo mauj-e-gul ko meyaar-e-nazar karta hua

hareem-e-shab mein khun rota hua maah-e-tamaam
nigaar-e-subh qissa mukhtasar karta hua

meri mitti ko le pahuncha dayaar-e-yaar tak
ghubaar-e-jaan tawaaf-e-chashm-e-tar karta hua

takabbur le raha hai imtihaan phir azm ka
sitaaron ko mere zer-e-asar karta hua

falak-bosi ki khwaahish taair-e-wahshat ko thi
uda hai apni mitti darguzar karta hua

शरार-ए-इश्क़ सदियों का सफ़र करता हुआ
बुझा मुझ में मुझी को बे-ख़बर करता हुआ

रुमूज़-ए-ख़ाक बाब-ए-मुश्तहर करता हुआ
यूँही आबाद सहरा-ए-हुनर करता हुआ

ज़मीन-ए-जुस्तुजू गर्द-ए-सफ़र करता हुआ
ये मुझ में कौन है मुझ से मफ़र करता हुआ

अभी तक लहलहाता है वो सब्ज़ा आँख में
वो मौज-ए-गुल को मेयार-ए-नज़र करता हुआ

हरीम-ए-शब में ख़ूँ रोता हुआ माह-ए-तमाम
निगार-ए-सुब्ह क़िस्सा मुख़्तसर करता हुआ

मिरी मिट्टी को ले पहुँचा दयार-ए-यार तक
ग़ुबार-ए-जाँ तवाफ़-ए-चश्म-ए-तर करता हुआ

तकब्बुर ले रहा है इम्तिहाँ फिर अज़्म का
सितारों को मिरे ज़ेर-ए-असर करता हुआ

फ़लक-बोसी की ख़्वाहिश ताइर-ए-वहशत को थी
उड़ा है अपनी मिट्टी दरगुज़र करता हुआ

  - Kabir Ajmal

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari