nayi zameen naye aasmaan sanvarte rahein | नई ज़मीन नए आसमाँ सँवरते रहें

  - Kabir Ajmal

nayi zameen naye aasmaan sanvarte rahein
yahi hai shart to phir harf harf marte rahein

yahi saza hai ki lamhon ki baaz-gasht ke baad
sadi sadi tire kooche mein bein karte rahein

vo inqilaab lakeeron se jo ubhar na saka
kahaan talak usi khaake mein rang bharte rahein

kuchh aur chahiye deewaangi ko hadd-e-junoon
kuchh aur arsa-e-mahshar ki ham guzarte rahein

koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi
koi bahaana ki ham jaan nisaar karte rahein

नई ज़मीन नए आसमाँ सँवरते रहें
यही है शर्त तो फिर हर्फ़ हर्फ़ मरते रहें

यही सज़ा है कि लम्हों की बाज़-गश्त के बाद
सदी सदी तिरे कूचे में बैन करते रहें

वो इंक़िलाब लकीरों से जो उभर न सका
कहाँ तलक उसी ख़ाके में रंग भरते रहें

कुछ और चाहिए दीवानगी को हद्द-ए-जुनूँ
कुछ और अरसा-ए-महशर कि हम गुज़रते रहें

कोई सदा कोई आवाज़ा-ए-जरस ही सही
कोई बहाना कि हम जाँ निसार करते रहें

  - Kabir Ajmal

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kabir Ajmal

As you were reading Shayari by Kabir Ajmal

Similar Writers

our suggestion based on Kabir Ajmal

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari