abhi to faisla baaki hai shaam hone de
sehar ki ot mein mehtaab-e-jaa ko rone de
tiri nazar ke ishaare na raushni ban jaayen
to phir ye raat kahaan jugnuon ko sone de
bahut hua to hawaon ke saath ro loonga
abhi to zid hai mujhe kashtiyaan dubone de
hamaare b'ad bhi kaam aayegi junoon ki aag
ye aag zinda hai is ko na sard hone de
sadi se maangegi agli sadi hisaab-e-gunah
mere sarishk ko lamhon ke daagh dhone de
ye gham mera hai to phir gair se ilaqa kya
mujhe hi apni tamannaa ka baar dhone de
babool sabz hai baandhe hisaar-e-naaz ajmal
mujhe bhi apni zameen mein chinaar bone de
अभी तो फ़ैसला बाक़ी है शाम होने दे
सहर की ओट में महताब-ए-जाँ को रोने दे
तिरी नज़र के इशारे न रौशनी बन जाएँ
तो फिर ये रात कहाँ जुगनुओं को सोने दे
बहुत हुआ तो हवाओं के साथ रो लूँगा
अभी तो ज़िद है मुझे कश्तियाँ डुबोने दे
हमारे ब'अद भी काम आएगी जुनूँ की आग
ये आग ज़िंदा है इस को न सर्द होने दे
सदी से मांगेगी अगली सदी हिसाब-ए-गुनह
मिरे सरिश्क को लम्हों के दाग़ धोने दे
ये ग़म मिरा है तो फिर ग़ैर से इलाक़ा क्या
मुझे ही अपनी तमन्ना का बार ढोने दे
बबूल सब्ज़ है बाँधे हिसार-ए-नाज़ 'अजमल'
मुझे भी अपनी ज़मीं में चिनार बोने दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kabir Ajmal
our suggestion based on Kabir Ajmal
As you were reading Aankhein Shayari Shayari