sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanaan hona | सब जिसे कहते हैं वक़्फ़-ए-ग़म-ए-जानाँ होना

  - Kaif Moradaabadi

sab jise kahte hain waqf-e-gham-e-jaanaan hona
avvaleen shart hai us ke liye insaan hona

gham ke daaghoon ne bada kaam banaya dil ka
is siyah-khaane mein mushkil tha charaaghaan hona

apne partav ke siva zehan mein kuchh bhi na raha
aur sikhaaiye aainon ko hairaan hona

uf ye deewaangi-e-ishq ki is bazm mein bhi
jab kabhi hosh mein aana to pareshaan hona

bazm-e-aalam ho ki mahshar meri daanisht mein hai
ik tajalli ka kai rukh se numayaan hona

khaar-o-khas ko bhi nigaahon mein rakhen ahl-e-chaman
warna mumkin nahin tanzeem-e-bahaaraan hona

dil ke tukde sar-e-daaman pe liye baitha hoon
khel samjha tha ilaaj-e-gham-e-pinhaan hona

mera kirdaar hai zaahir mere ashaar se kaif
jaise tasveer mein ik rang numayaan hona

सब जिसे कहते हैं वक़्फ़-ए-ग़म-ए-जानाँ होना
अव्वलीं शर्त है उस के लिए इंसाँ होना

ग़म के दाग़ों ने बड़ा काम बनाया दिल का
इस सियह-ख़ाने में मुश्किल था चराग़ाँ होना

अपने परतव के सिवा ज़ेहन में कुछ भी न रहा
और सिखलाइए आईनों को हैराँ होना

उफ़ ये दीवानगी-ए-इश्क़ कि इस बज़्म में भी
जब कभी होश में आना तो परेशाँ होना

बज़्म-ए-आलम हो कि महशर मेरी दानिस्त में है
इक तजल्ली का कई रुख़ से नुमायाँ होना

ख़ार-ओ-ख़स को भी निगाहों में रखें अहल-ए-चमन
वर्ना मुमकिन नहीं तंज़ीम-ए-बहाराँ होना

दिल के टुकड़े सर-ए-दामन पे लिए बैठा हूँ
खेल समझा था इलाज-ए-ग़म-ए-पिन्हाँ होना

मेरा किरदार है ज़ाहिर मिरे अशआ'र से 'कैफ़'
जैसे तस्वीर में इक रंग नुमायाँ होना

  - Kaif Moradaabadi

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari