jo uthi thi meri taraf kabhi dil-e-mo'tabar ki talash mein | जो उठी थी मेरी तरफ़ कभी दिल-ए-मो'तबर की तलाश में

  - Kaif Moradaabadi

jo uthi thi meri taraf kabhi dil-e-mo'tabar ki talash mein
meri saari umr guzar gai usi ik nazar ki talash mein

gham-e-ishq hi ko main kya kahoon tire husn ko bhi nahin sukoon
kabhi is nazar ki talash mein kabhi us nazar ki talash mein

jo yahi junoon hai to mil chuki hamein manzil-e-gham-e-aashiqi
usi raahguzaar se guzar gaye usi raahguzaar ki talash mein

sar-e-manzil aa ke pata chala ki qadam qadam pe fareb tha
kahi hum-safar ki umeed mein kahi hum-safar ki talash mein

use vasl kaisa haqeeqatan gham-e-hijr ka bhi to haq nahin
jo tamaam raat guzaar de magar ik sehar ki talash mein

hai ajeeb qismat-e-'kaif bhi ye mila hai haasil-e-bandagi
ki mazaq-e-sajda bhi kho diya kisi sang-e-dar ki talash mein

जो उठी थी मेरी तरफ़ कभी दिल-ए-मो'तबर की तलाश में
मेरी सारी उम्र गुज़र गई उसी इक नज़र की तलाश में

ग़म-ए-इश्क़ ही को मैं क्या कहूँ तिरे हुस्न को भी नहीं सुकूँ
कभी इस नज़र की तलाश में कभी उस नज़र की तलाश में

जो यही जुनूँ है तो मिल चुकी हमें मंज़िल-ए-ग़म-ए-आशिक़ी
उसी रहगुज़र से गुज़र गए उसी रहगुज़र की तलाश में

सर-ए-मंज़िल आ के पता चला कि क़दम क़दम पे फ़रेब था
कहीं हम-सफ़र की उमीद में कहीं हम-सफ़र की तलाश में

उसे वस्ल कैसा हक़ीक़तन ग़म-ए-हिज्र का भी तो हक़ नहीं
जो तमाम रात गुज़ार दे मगर इक सहर की तलाश में

है अजीब क़िस्मत-ए-'कैफ़' भी ये मिला है हासिल-ए-बंदगी
कि मज़ाक़-ए-सज्दा भी खो दिया किसी संग-ए-दर की तलाश में

  - Kaif Moradaabadi

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari