vo qareeb bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai | वो क़रीब भी हैं तो क्या हुआ हमें अपने काम से काम है

  - Kaif Moradaabadi

vo qareeb bhi hain to kya hua hamein apne kaam se kaam hai
wahin justuju wahin be-khudi wahin zindagi ka nizaam hai

talab irtiqa ki asaas hai ki gham-e-aseeri ka naam hai
ki jahaan chaman hai wahin qafas jahaan daana hai wahin daam hai

hama-waqt mujh ko yahi hai gham ki unhen hai mera khayal kam
magar is ki fikr kabhi nahin ki mera junoon bhi to khaam hai

mujhe may-kade mein kisi ne kal ye bataaya maslak-e-aashiqi
jise baada wajh-e-suroor ho use baada peena haraam hai

ye hai shaan-e-mehfil-e-aashiqi ki taveel arsa guzar ke bhi
wahin but-kade ki si subh hai wahin may-kade ki si shaam hai

ye hai kaisa aalam-e-be-khudi nahin hosh un ki raza ka bhi
jo yahi hai kaif junoon-e-gham to junoon-e-gham ko salaam hai

वो क़रीब भी हैं तो क्या हुआ हमें अपने काम से काम है
वही जुस्तुजू वही बे-ख़ुदी वही ज़िंदगी का निज़ाम है

तलब इर्तिक़ा की असास है कि ग़म-ए-असीरी का नाम है
कि जहाँ चमन है वहीं क़फ़स जहाँ दाना है वहीं दाम है

हमा-वक़्त मुझ को यही है ग़म कि उन्हें है मेरा ख़याल कम
मगर इस की फ़िक्र कभी नहीं कि मिरा जुनूँ भी तो ख़ाम है

मुझे मय-कदे में किसी ने कल ये बताया मस्लक-ए-आशिक़ी
जिसे बादा वज्ह-ए-सुरूर हो उसे बादा पीना हराम है

ये है शान-ए-महफ़िल-ए-आशिक़ी कि तवील अर्सा गुज़र के भी
वही बुत-कदे की सी सुब्ह है वही मय-कदे की सी शाम है

ये है कैसा आलम-ए-बे-ख़ुदी नहीं होश उन की रज़ा का भी
जो यही है 'कैफ़' जुनून-ए-ग़म तो जुनून-ए-ग़म को सलाम है

  - Kaif Moradaabadi

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari