vo gham de rahe hain khushi ho rahi hai | वो ग़म दे रहे हैं ख़ुशी हो रही है

  - Kaif Moradaabadi

vo gham de rahe hain khushi ho rahi hai
haqeeqat mein ab aashiqi ho rahi hai

abhi mohtasib may-kade mein na aayein
thehar jaaie may-kashi ho rahi hai

mohabbat mein kitne hi mansoor gum hain
khudi bhi yahan be-khudi ho rahi hai

na zauq-e-talab hai na ehsaas-e-manzil
ye jeena hai ya khud-kushi ho rahi hai

koi juraten dekhe ahl-e-hawas ki
mohabbat se bhi dil lagi ho rahi hai

ye may-khaane mein kis ka paimaana chhalaka
bahut door tak raushni ho rahi hai

na poocho yagaano'n ki begaangi ko
ye sab dost mein dosti ho rahi hai

ajab aalam-e-'kaif hai bazm-e-jaanan
nigaahon se bhi bandagi ho rahi hai

वो ग़म दे रहे हैं ख़ुशी हो रही है
हक़ीक़त में अब आशिक़ी हो रही है

अभी मोहतसिब मय-कदे में न आएँ
ठहर जाइए मय-कशी हो रही है

मोहब्बत में कितने ही मंसूर गुम हैं
ख़ुदी भी यहाँ बे-ख़ुदी हो रही है

न ज़ौक़-ए-तलब है न एहसास-ए-मंज़िल
ये जीना है या ख़ुद-कुशी हो रही है

कोई जुरअतें देखे अहल-ए-हवस की
मोहब्बत से भी दिल लगी हो रही है

ये मय-ख़ाने में किस का पैमाना छलका
बहुत दूर तक रौशनी हो रही है

न पूछो यगानों की बेगानगी को
ये सब दोस्त में दोस्ती हो रही है

अजब आलम-ए-'कैफ़' है बज़्म-ए-जानाँ
निगाहों से भी बंदगी हो रही है

  - Kaif Moradaabadi

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari