kya khabar thi ishq mein aisa bhi ik daur aaye hai | क्या ख़बर थी इश्क़ में ऐसा भी इक दौर आए है

  - Kaif Moradaabadi

kya khabar thi ishq mein aisa bhi ik daur aaye hai
baat kaisi saans leta hoon to jee ghabraaye hai

rehm kar jazb-e-mohabbat ye sitam kyun dhaaye hai
husn aur betaab-o-haira kis se dekha jaaye hai

yun to un ki yaad se milti hai taskeen-e-hayaat
aur jab tadpaaye hai zalim bahut tadpaaye hai

khushk aankhen muskuraate hont chehra mutmain
yun bhi akshar dastaan-e-gham sunaai jaaye hai

aur to kya zindagi ka hosh tak chhodaa nahin
lootne waale kahi aise bhi lootaa jaaye hai

rang-e-gulshan dekhne waale kabhi ye bhi to dekh
nanhi nanhi pattiyon mein kaun ras daudaae hai

ishq ke maare hue duniya ko dekhen bhi to kya
jab nazar uthati hai koi saamne aa jaaye hai

husn chhupta phir raha hai mukhtalif pardo mein kaif
ishq ki zalim nazar ke saamne kaun aaye hai

क्या ख़बर थी इश्क़ में ऐसा भी इक दौर आए है
बात कैसी साँस लेता हूँ तो जी घबराए है

रहम कर जज़्ब-ए-मोहब्बत ये सितम क्यों ढाए है
हुस्न और बेताब-ओ-हैराँ किस से देखा जाए है

यूँ तो उन की याद से मिलती है तस्कीन-ए-हयात
और जब तड़पाए है ज़ालिम बहुत तड़पाए है

ख़ुश्क आँखें मुस्कुराते होंट चेहरा मुतमइन
यूँ भी अक्सर दास्तान-ए-ग़म सुनाई जाए है

और तो क्या ज़िंदगी का होश तक छोड़ा नहीं
लूटने वाले कहीं ऐसे भी लूटा जाए है

रंग-ए-गुलशन देखने वाले कभी ये भी तो देख
नन्ही नन्ही पत्तियों में कौन रस दौड़ाए है

इश्क़ के मारे हुए दुनिया को देखें भी तो क्या
जब नज़र उठती है कोई सामने आ जाए है

हुस्न छुपता फिर रहा है मुख़्तलिफ़ पर्दों में 'कैफ़'
इश्क़ की ज़ालिम नज़र के सामने कौन आए है

  - Kaif Moradaabadi

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari