ai junoon-e-bandagi-e-shauq ye kya kar diya | ऐ जुनून-ए-बंदगी-ए-शौक़ ये क्या कर दिया

  - Kaif Moradaabadi

ai junoon-e-bandagi-e-shauq ye kya kar diya
un ke dhoke mein na jaane kis ko sajda kar diya

khud unhon ne apna raaz-e-husn afsha kar diya
jis taraf bhi aankh uthaai hashr barpa kar diya

kaash vo gham ta-abad dil par rahe saaya-fagan
jis ne dil ko be-niyaaz-e-deen-o-duniya kar diya

tum hi socho kaif ab kis ka ho mujh ko e'tibaar
khud meri aankhon ne mera raaz afsha kar diya

ऐ जुनून-ए-बंदगी-ए-शौक़ ये क्या कर दिया
उन के धोके में न जाने किस को सज्दा कर दिया

ख़ुद उन्हों ने अपना राज़-ए-हुस्न अफ़्शा कर दिया
जिस तरफ़ भी आँख उठाई हश्र बरपा कर दिया

काश वो ग़म ता-अबद दिल पर रहे साया-फ़गन
जिस ने दिल को बे-नियाज़-ए-दीन-ओ-दुनिया कर दिया

तुम ही सोचो 'कैफ़' अब किस का हो मुझ को ए'तिबार
ख़ुद मिरी आँखों ने मेरा राज़ अफ़्शा कर दिया

  - Kaif Moradaabadi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari