zindagi ka koi his kaise ada karte hain
jo mohabbat nahin karte hain vo kya karte hain
dars-e-ibrat hai dam-e-subh nuzool-e-shabnam
gulistaan rota hai aur phool hansa karte hain
taalibaan-e-karam-e-yaar talab se pehle
apne daaman ki taraf dekh liya karte hain
un ki marzi hai hamein yaad karein ya na karein
ham b-har-haal unhen yaad kiya karte hain
zinda dargor hoon main kasrat-e-aalam se kaif
log phir bhi mere jeene ki dua karte hain
ज़िंदगी का कोई हिस कैसे अदा करते हैं
जो मोहब्बत नहीं करते हैं वो क्या करते हैं
दर्स-ए-इबरत है दम-ए-सुब्ह नुज़ूल-ए-शबनम
गुलिस्ताँ रोता है और फूल हँसा करते हैं
तालिबान-ए-करम-ए-यार तलब से पहले
अपने दामन की तरफ़ देख लिया करते हैं
उन की मर्ज़ी है हमें याद करें या न करें
हम ब-हर-हाल उन्हें याद किया करते हैं
ज़िंदा दरगोर हूँ मैं कसरत-ए-आलाम से 'कैफ़'
लोग फिर भी मिरे जीने की दुआ करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi
our suggestion based on Kaif Moradaabadi
As you were reading Nazakat Shayari Shayari