rasai saee-e-na-mashkoor ho jaaye to kya hoga | रसाई सई-ए-ना-मशकूर हो जाए तो क्या होगा

  - Kaif Moradaabadi

rasai saee-e-na-mashkoor ho jaaye to kya hoga
qadam rakhte hi manzil door ho jaaye to kya hoga

tajalli khud hijaab-e-noor ho jaaye to kya hoga
b-zaahir bhi koi mastur ho jaaye to kya hoga

haqeeqat mein koi mahjoor ho jaaye to kya hoga
nazar se door dil se door ho jaaye to kya hoga

abhi to aarzi hai dost ban kar dushmani karna
jo duniya ka yahi dastoor ho jaaye to kya hoga

ye sab se chhup ke khud ko aaine mein dekhne waale
nazar khilwat mein barq-e-toor ho jaaye to kya hoga

liye jaata hai azm-e-tark-e-ulfat un ki mehfil mein
nazar uthte hi dil majboor ho jaaye to kya

nizaam-e-aashiqi qaaim hai un ki be-niyaazi se
kisi ki iltijaa manzoor ho jaaye to kya hoga

har ik ko kaif tum kyun apna afsaana sunaate ho
gham-e-ulfat gham-e-jamhoor ho jaaye to kya hoga

रसाई सई-ए-ना-मशकूर हो जाए तो क्या होगा
क़दम रखते ही मंज़िल दूर हो जाए तो क्या होगा

तजल्ली ख़ुद हिजाब-ए-नूर हो जाए तो क्या होगा
ब-ज़ाहिर भी कोई मस्तूर हो जाए तो क्या होगा

हक़ीक़त में कोई महजूर हो जाए तो क्या होगा
नज़र से दूर दिल से दूर हो जाए तो क्या होगा

अभी तो आरज़ी है दोस्त बन कर दुश्मनी करना
जो दुनिया का यही दस्तूर हो जाए तो क्या होगा

ये सब से छुप के ख़ुद को आइने में देखने वाले
नज़र ख़ल्वत में बर्क़-ए-तूर हो जाए तो क्या होगा

लिए जाता है अज़्म-ए-तर्क-ए-उल्फ़त उन की महफ़िल में
नज़र उठते ही दिल मजबूर हो जाए तो क्या

निज़ाम-ए-आशिक़ी क़ाएम है उन की बे-नियाज़ी से
किसी की इल्तिजा मंज़ूर हो जाए तो क्या होगा

हर इक को 'कैफ़' तुम क्यों अपना अफ़्साना सुनाते हो
ग़म-ए-उल्फ़त ग़म-ए-जम्हूर हो जाए तो क्या होगा

  - Kaif Moradaabadi

Bebas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Bebas Shayari Shayari