ab sochta hoon jaaun to jaaun kidhar ko main
ai kaash chhodta na tiri raahguzaar ko main
dil gham ka aaina hai nazar dil ka aaina
kaise chhupaau soz-e-nihaan ke asar ko main
aalam tamaam ek fareb-e-nigaah hai
ab kya dikhaaun chashm-e-haqeeqat-nigar ko main
madhoshiyon mein toot gaya dil ka aaina
ab kaise munh dikhaaunga aaina-gar ko main
un ki nazar khuda na kare mufail ho kaif
dekhoon na kaash jazba-e-gham ke asar ko main
अब सोचता हूँ जाऊँ तो जाऊँ किधर को मैं
ऐ काश छोड़ता न तिरी रहगुज़र को मैं
दिल ग़म का आइना है नज़र दिल का आइना
कैसे छुपाऊँ सोज़-ए-निहाँ के असर को मैं
आलम तमाम एक फ़रेब-ए-निगाह है
अब क्या दिखाऊँ चश्म-ए-हक़ीक़त-निगर को मैं
मदहोशियों में टूट गया दिल का आइना
अब कैसे मुँह दिखाऊँगा आईना-गर को मैं
उन की नज़र ख़ुदा न करे मुन्फ़इल हो 'कैफ़'
देखूँ न काश जज़्बा-ए-ग़म के असर को मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi
our suggestion based on Kaif Moradaabadi
As you were reading Udas Shayari Shayari