badhe chalo ki zamaane ko ye dikhaana hai
jahaan hamaare qadam hain wahin zamaana hai
ye husn-o-ishq ki tafriq ik bahaana hai
kahi nazar ko kahi dil ko aazmaana hai
ab is janoon-e-talab ka koi thikaana hai
ki apne aap ko kho kar bhi un ko paana hai
bas ek ishq hi aisa sharaab-khaana hai
jahaan suroor ka mafhoom hosh aana hai
ilaahi tamkanat-e-husn-o-naaz-e-husn ki khair
kuchh aaj ishq ka andaaz waalihana hai
main har gunaah ki haqeeqat bata to doon sar-e-hashr
magar unhen jo har ilzaam se bachaana hai
zara janoon-e-tamanna se dil guzar jaaye
phir is ke baad koi daam hai na daana hai
main jaanta hoon jo hai farq-e-zaat-o-partav-e-zaat
meri nigaah pas-e-parda-e-zamaana hai
kise naseeb ho sajda ye aur baat hai kaif
har ik jabeen ke qareeb un ka aastaana hai
बढ़े चलो कि ज़माने को ये दिखाना है
जहाँ हमारे क़दम हैं वहीं ज़माना है
ये हुस्न-ओ-इश्क़ की तफ़रीक़ इक बहाना है
कहीं नज़र को कहीं दिल को आज़माना है
अब इस जुनून-ए-तलब का कोई ठिकाना है
कि अपने आप को खो कर भी उन को पाना है
बस एक इश्क़ ही ऐसा शराब-ख़ाना है
जहाँ सुरूर का मफ़्हूम होश आना है
इलाही तमकनत-ए-हुस्न-ओ-नाज़-ए-हुस्न की ख़ैर
कुछ आज इश्क़ का अंदाज़ वालिहाना है
मैं हर गुनाह की हक़ीक़त बता तो दूँ सर-ए-हश्र
मगर उन्हें जो हर इल्ज़ाम से बचाना है
ज़रा जुनून-ए-तमन्ना से दिल गुज़र जाए
फिर इस के बाद कोई दाम है न दाना है
मैं जानता हूँ जो है फ़र्क़-ए-ज़ात-ओ-परतव-ए-ज़ात
मिरी निगाह पस-ए-पर्दा-ए-ज़माना है
किसे नसीब हो सज्दा ये और बात है 'कैफ़'
हर इक जबीं के क़रीब उन का आस्ताना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi
our suggestion based on Kaif Moradaabadi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari