gham ne dilon ko raam kiya aur guzar gaya | ग़म ने दिलों को राम किया और गुज़र गया

  - Kaif Moradaabadi

gham ne dilon ko raam kiya aur guzar gaya
zalim ne apna kaam kiya aur guzar gaya

sayyaad kuchh to khaatir-e-ahl-e-wafa kare
ye kya aseer-e-daam kiya aur guzar gaya

ai saaqi-e-bahaar tire zauq ke nisaar
har gul ko ek jaam kiya aur guzar gaya

aaya tha but-kada bhi meri raah-e-shauq mein
main ne to ik salaam kiya aur guzar gaya

ye kaayenaat hai ki kisi ne b-sad hijaab
ik khaas jalwa aam kiya aur guzar gaya

aaya qareeb kaif koi mast-e-naaz-e-husn
daali nazar ghulaam kiya aur guzar gaya

ग़म ने दिलों को राम किया और गुज़र गया
ज़ालिम ने अपना काम किया और गुज़र गया

सय्याद कुछ तो ख़ातिर-ए-अहल-ए-वफ़ा करे
ये क्या असीर-ए-दाम किया और गुज़र गया

ऐ साक़ी-ए-बहार तिरे ज़ौक़ के निसार
हर गुल को एक जाम किया और गुज़र गया

आया था बुत-कदा भी मिरी राह-ए-शौक़ में
मैं ने तो इक सलाम किया और गुज़र गया

ये काएनात है कि किसी ने ब-सद हिजाब
इक ख़ास जल्वा आम किया और गुज़र गया

आया क़रीब 'कैफ़' कोई मस्त-ए-नाज़-ए-हुस्न
डाली नज़र ग़ुलाम किया और गुज़र गया

  - Kaif Moradaabadi

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Moradaabadi

As you were reading Shayari by Kaif Moradaabadi

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Moradaabadi

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari