zamaana bhi bulandi par mujhe apna bataata hai | ज़माना भी बुलंदी पर मुझे अपना बताता है

  - "Nadeem khan' Kaavish"

zamaana bhi bulandi par mujhe apna bataata hai
magar afsos gardish mein mujhe aankhen dikhaata hai

vo jisko meri har ik baat pehle zahar lagti thi
vo apne bacchon ko meri hi ab ghazlein sunaata hai

parinde dar gaye hain mar gaye hain khauf se tere
ki tera naam sunte hi kabootar fadfadaata hai

teri yaadon ka ye sailaab dil se kyun nahin jaata
mujhe rah-rah ke tere khooni aansu mein dubaata hai

mujhe rone nahin deti ye zimmedaariyaan ghar ki
akela hota hoon to dil bahut hi toot jaata hain

duaaein saath chalti hain mere maa-baap ki yaaron
koi bhi haadsa ho mere aage sar jhukaata hain

ज़माना भी बुलंदी पर मुझे अपना बताता है
मगर अफ़सोस गर्दिश में मुझे आँखें दिखाता है

वो जिसको मेरी हर इक बात पहले ज़हर लगती थी
वो अपने बच्चों को मेरी ही अब ग़ज़लें सुनाता है

परिंदे डर गए हैं, मर गए हैं ख़ौफ़ से तेरे
कि तेरा नाम सुनते ही कबूतर फड़फड़ाता है

तेरी यादों का ये सैलाब दिल से क्यों नहीं जाता
मुझे रह-रह के तेरे खूनी आँसू में डुबाता है

मुझे रोने नहीं देती ये ज़िम्मेदारियाँ घर की
अकेला होता हूँ तो दिल बहुत ही टूट जाता हैं

दुआएँ साथ चलती हैं मेरे माँ-बाप की यारों
कोई भी हादसा हो, मेरे आगे सर झुकाता हैं

  - "Nadeem khan' Kaavish"

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by "Nadeem khan' Kaavish"

As you were reading Shayari by "Nadeem khan' Kaavish"

Similar Writers

our suggestion based on "Nadeem khan' Kaavish"

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari