wahi zamaana wahi maah-o-saal odhe hain
bahut dinon se tumhaara khayal odhe hain
shua-e-mahr ne mujh se kaha b-waqt-e-shaam
urooj waale yahan sab zawaal odhe hain
adab se baithiye aa kar ke ham faqeeron mein
yahan ke taat-nasheen sab kamaal odhe hain
sajaaye baithe hain vo tohmaten zabaanon par
aur ek ham hain ki ab tak misaal odhe hain
khuda bachaaye unhen january ki thandak se
jo sheet-lehri ghareebon ke laal odhe hain
unhen main qaum ka qaaid to kah nahin saka
vo bhediyae hain jo bhedon ki khaal odhe hain
hamaare naam na maazi na koi mustaqbil
ham apni haalat-e-khasta pe haal odhe hain
fati qameez dikhaai na de kahi qaisar
isee liye to ye rangeen shaal odhe hain
वही ज़माना वही माह-ओ-साल ओढ़े हैं
बहुत दिनों से तुम्हारा ख़याल ओढ़े हैं
शुआ-ए-महर ने मुझ से कहा ब-वक़्त-ए-शाम
उरूज वाले यहाँ सब ज़वाल ओढ़े हैं
अदब से बैठिए आ कर के हम फ़क़ीरों में
यहाँ के टाट-नशीं सब कमाल ओढ़े हैं
सजाए बैठे हैं वो तोहमतें ज़बानों पर
और एक हम हैं कि अब तक मिसाल ओढ़े हैं
ख़ुदा बचाए उन्हें जनवरी की ठंडक से
जो शीत-लहरी ग़रीबों के लाल ओढ़े हैं
उन्हें मैं क़ौम का क़ाइद तो कह नहीं सकता
वो भेड़िये हैं जो भेड़ों की खाल ओढ़े हैं
हमारे नाम न माज़ी न कोई मुस्तक़बिल
हम अपनी हालत-ए-ख़स्ता पे हाल ओढ़े हैं
फटी क़मीज़ दिखाई न दे कहीं 'क़ैसर'
इसी लिए तो ये रंगीन शाल ओढ़े हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Qaisar Balrampuri
our suggestion based on Kaleem Qaisar Balrampuri
As you were reading Haya Shayari Shayari