bade boodhe hamaare jis ko barbaadi samjhte hain | बड़े बूढ़े हमारे जिस को बर्बादी समझते हैं

  - Kaleem Qaisar Balrampuri

bade boodhe hamaare jis ko barbaadi samjhte hain
nayi naslon ke ladke us ko aazaadi samjhte hain

chalo dikhla hi den ab quwwat-e-baazu ke kuchh jauhar
ye ahl-e-zulm ham ko naqsh-e-faryaadi samjhte hain

ana ke rang-mahalon mein vo jogan ban ke baithi hai
jise basti ke saare log shehzaadi samjhte hain

hamaare kheton mein khushboo hai hariyaali hai saawan hai
ham apne gaav ko kashmir ki waadi samjhte hain

meri basti mein kuchh ahl-e-hunr milte hain aise bhi
ki jo tanqeed hi ko apni ustaadi samjhte hain

बड़े बूढ़े हमारे जिस को बर्बादी समझते हैं
नई नस्लों के लड़के उस को आज़ादी समझते हैं

चलो दिखला ही दें अब क़ुव्वत-ए-बाज़ू के कुछ जौहर
ये अहल-ए-ज़ुल्म हम को नक़्श-ए-फ़र्यादी समझते हैं

अना के रंग-महलों में वो जोगन बन के बैठी है
जिसे बस्ती के सारे लोग शहज़ादी समझते हैं

हमारे खेतों में ख़ुशबू है हरियाली है सावन है
हम अपने गाँव को कश्मीर की वादी समझते हैं

मिरी बस्ती में कुछ अहल-ए-हुनर मिलते हैं ऐसे भी
कि जो तन्क़ीद ही को अपनी उस्तादी समझते हैं

  - Kaleem Qaisar Balrampuri

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Qaisar Balrampuri

As you were reading Shayari by Kaleem Qaisar Balrampuri

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Qaisar Balrampuri

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari