kisi ko fikr jo di hai to fan nahin deta
vo sab ko ek sa tarz-e-sukhan nahin deta
main apni khaana-nasheeni mein har tarah khush hoon
na de koi jo mujhe anjuman nahin deta
use khabar hai ki tarz-e-khitaab jaanta hoon
isee liye mujhe izn-e-sukhan nahin deta
bade naseeb se milti hai aisi jaama-dari
khuda har ek ko deewana-pan nahin deta
bujhaao tum bhi ise phoonk maar ke qaisar
koi charaagh ki lau mein dehan nahin deta
किसी को फ़िक्र जो दी है तो फ़न नहीं देता
वो सब को एक सा तर्ज़-ए-सुख़न नहीं देता
मैं अपनी ख़ाना-नशीनी में हर तरह ख़ुश हूँ
न दे कोई जो मुझे अंजुमन नहीं देता
उसे ख़बर है कि तर्ज़-ए-ख़िताब जानता हूँ
इसी लिए मुझे इज़्न-ए-सुख़न नहीं देता
बड़े नसीब से मिलती है ऐसी जामा-दरी
ख़ुदा हर एक को दीवाना-पन नहीं देता
बुझाओ तुम भी इसे फूँक मार के 'क़ैसर'
कोई चराग़ की लौ में दहन नहीं देता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Qaisar Balrampuri
our suggestion based on Kaleem Qaisar Balrampuri
As you were reading Mehfil Shayari Shayari