kisi bhi taur gulistaan ka kaarobaar chale
chaman pe aaye faban baad-e-nau-bahaar chale
fazaa khamosh hai aur dil bhi hai udaas udaas
khuda ke vaaste aise mein zikr-e-yaar chale
hamaare zakham ke taanke bhi aaj khul jaayen
kuchh is ada se abhi baad-e-nau-bahaar chale
hamein zamaane ne samjha tira hi deewaana
to ham bhi kar ke garebaan ko taar taar chale
kaleem ko to tiri bazm bhi na raas aayi
vo apni dhun mein uthe aur su-e-daar chale
किसी भी तौर गुलिस्ताँ का कारोबार चले
चमन पे आए फबन बाद-ए-नौ-बहार चले
फ़ज़ा ख़मोश है और दिल भी है उदास उदास
ख़ुदा के वास्ते ऐसे में ज़िक्र-ए-यार चले
हमारे ज़ख़्म के टाँके भी आज खुल जाएँ
कुछ इस अदा से अभी बाद-ए-नौ-बहार चले
हमें ज़माने ने समझा तिरा ही दीवाना
तो हम भी कर के गरेबाँ को तार तार चले
'कलीम' को तो तिरी बज़्म भी न रास आई
वो अपनी धुन में उठे और सू-ए-दार चले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kalim Tahiri
our suggestion based on Kalim Tahiri
As you were reading Sad Shayari Shayari