koi bhi baat manaane mein der lagti hai
kisi ko apna banaane mein der lagti hai
hamesha khud ko jataane mein der lagti hai
koi maqaam banaane mein der lagti hai
makaan ko todna chaaho to chaar din kaafi
magar makaan banaane mein der lagti hai
ujaad dete hain shehron ko zalzale pal mein
aur ek shehar basaane mein der lagti hai
ye dekhna hai meri baat naagawaar na ho
koi bhi baat bataane mein der lagti hai
kisi ko dost banaana kaleem aasaan hai
magar isee ko nibhaane mein der lagti hai
कोई भी बात मनाने में देर लगती है
किसी को अपना बनाने में देर लगती है
हमेशा ख़ुद को जताने में देर लगती है
कोई मक़ाम बनाने में देर लगती है
मकाँ को तोड़ना चाहो तो चार दिन काफ़ी
मगर मकान बनाने में देर लगती है
उजाड़ देते हैं शहरों को ज़लज़ले पल में
और एक शहर बसाने में देर लगती है
ये देखना है मिरी बात नागवार न हो
कोई भी बात बताने में देर लगती है
किसी को दोस्त बनाना 'कलीम' आसाँ है
मगर इसी को निभाने में देर लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kalim Tahiri
our suggestion based on Kalim Tahiri
As you were reading Nigaah Shayari Shayari