safar
har roz neend ki aaghosh se nikal kar
main tanhaa jaata hoon ghar se nikal kar
phir yun ki kuchh intizaar hota hai
un raaston se mushkil se pyaar hota hai
har lamhe bas wahi yaad aati hai
vo shehar mein bitaai hui shaam yaad aati hai
ham the kabhi bheed ka ek hissa
ab mahaj ban kar rah gaya hai ek qissa
bahut mushkil tha apne shehar se hijrat karna
magar ye kaam bhi zaroori tha mujhko karna
raaste mein bahut kuchh nayā-nayā sa dikhta hai
magar ab tujhsa kahaan kuchh dikhta hai
ab to musalsal jaari rehta hai safar
magar afsos tu is musaafir ke haal se hai bekhbar
"सफ़र"
हर रोज़ नींद की आग़ोश से निकल कर
मैं तन्हा जाता हूँ घर से निकल कर
फिर यूँ कि कुछ इंतिज़ार होता है
उन रास्तों से मुश्किल से प्यार होता है
हर लम्हे बस वही याद आती है
वो शहर में बिताई हुई शाम याद आती है
हम थे कभी भीड़ का एक हिस्सा
अब महज़ बन कर रह गया है एक क़िस्सा
बहुत मुश्किल था अपने शहर से हिजरत करना
मगर ये काम भी ज़रूरी था मुझको करना
रास्ते में बहुत कुछ नया–नया सा दिखता है
मगर अब तुझसा कहाँ कुछ दिखता है
अब तो मुसलसल जारी रहता है सफ़र
मगर अफ़सोस तू इस मुसाफ़िर के हाल से है बेख़बर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kashif Hussain Kashif
our suggestion based on Kashif Hussain Kashif
As you were reading Ghar Shayari Shayari