vo aankhon se aankhen mila kar gaya hai | वो आँखों से आँखें मिला कर गया है - Kinshu Sinha

vo aankhon se aankhen mila kar gaya hai
vo apni khataayein chhupa kar gaya hai

vo kya zindagi dhoondhta hai kisi mein
jo mujhmein zamaane bita kar gaya hai

mujhe dukh yahi hai ki vo bewafaai
ka ilzaam mujhpar laga kar gaya hai

ye kaisi judaai hai jismein vo insaan
kahaan ja raha hai bata kar gaya hai

nahin badla hai kuch bhi jaane se uske
vo bas intizaari badha kar gaya hai

rulaana use ab bhi aaya nahin hai
vo maasoomiyat pe hansa kar gaya hai

tujhe kinshu kehne mein diqqat hai usko
magar tu to usko khuda kar gaya hai

वो आँखों से आँखें मिला कर गया है
वो अपनी ख़ताएँ छुपा कर गया है

वो क्या ज़िन्दगी ढूँढता है किसी में
जो मुझमें ज़माने बिता कर गया है

मुझे दुख यही है कि वो बेवफ़ाई
का इल्ज़ाम मुझपर लगा कर गया है

ये कैसी जुदाई है जिसमें वो इंसाँ
कहाँ जा रहा है, बता कर गया है

नहीं बदला है कुछ भी जाने से उसके
वो बस इन्तिज़ारी बढ़ा कर गया है

रुलाना उसे अब भी आया नहीं है
वो मासूमियत पे हँसा कर गया है

तुझे ‘किंशु’ कहने में दिक़्क़त है उसको
मगर तू तो उसको ख़ुदा कर गया है

- Kinshu Sinha
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kinshu Sinha

As you were reading Shayari by Kinshu Sinha

Similar Writers

our suggestion based on Kinshu Sinha

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari