mere ashkon ki qeemat de sako to laut aana tum
tadpate dil ko raahat de sako to laut aana tum
mujhe bhi be-hayaai ki zara si bewafaai ki
agar thodi sahoolat de sako to laut aana tum
muqaddam tod jaane ki safar mein chhod jaane ki
jo mujhko bhi ijaazat de sako to laut aana tum
bharosa todne waale mujhe ik baar jo phir se
yaqeen karne ki himmat de sako to laut aana tum
kisi ke saath hokar ke kisi ke saath hone ki
mujhe bhi ye sharaafat de sako to laut aana tum
tamannaa jism ki hoti to phir bazaar zinda hai
muhabbat haan muhabbat de sako to laut aana tum
मेरे अश्कों की क़ीमत दे सको तो लौट आना तुम
तड़पते दिल को राहत दे सको तो लौट आना तुम
मुझे भी बे-हयाई की, ज़रा सी बेवफ़ाई की
अगर थोड़ी सहूलत दे सको तो लौट आना तुम
तअल्लुक़ तोड़ जाने की, सफ़र में छोड़ जाने की
जो मुझको भी इजाज़त दे सको तो लौट आना तुम
भरोसा तोड़ने वाले मुझे इक बार जो फिर से
यक़ीं करने की हिम्मत दे सको तो लौट आना तुम
किसी के साथ होकर के किसी के साथ होने की
मुझे भी ये शराफ़त दे सको तो लौट आना तुम
तमन्ना जिस्म की होती तो फिर बाज़ार ज़िंदा है
मुहब्बत! हाँ मुहब्बत दे सको तो लौट आना तुम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kumar Vikas
our suggestion based on Kumar Vikas
As you were reading Ijazat Shayari Shayari